% % Contributor: Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Jul 9 15:40:04 EDT 1995 % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [42] % % jo hamane daastaa.n apanii sunaaii, aap kyo.n roe tabaahii to hamaare dil pe aaii, aap kyo.n roe hamaaraa dard-e-Gam hai ye, ise kyo.n aap sahate hai.n ye kyo.n aa.Nsuu hamaare, aapakii aa.Nkho.n se bahate hai.n Gamo.n kii aag hamane khud lagaaii, aap kyo.n roe bahut roe magar ab aapakii khaatir na roe.nge na apanaa chain khokar aapakaa ham chain khoe.nge kayaamat aapake ashko.n ne Dhaaii, aap kyo.n roe na ye aa.Nsuu ruke to dekhiye, ham bhii ro de.nge ham apane aa.Nsuo.n me.n chaa.Nd taaro.n ko Dubo de.nge fanaa ho jaaegii saarii khudaaii, aap kyo.n roe % % -- ShashiKant Joshi urf Pintu Diwana %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.