% % Contributor: U. V. Ravindra% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 07/15/1996 % Credits: Vandana Venkatesan % % mai.n jab bhii akelii hotii huu.N, tum chupake se aa jaate ho aur jhaa.Nk ke merii aa.Nkho.n me.n, biite din yaad dilaate ho biite din yaad dilaate ho mastaanaa havaa ke jho.Nko.n se har baar vo parde kaa hilanaa parde ko paka.Dane kii dhun me.n do ajanabii haatho.n kaa milanaa aa.Nkho.n me.n dhuaa.N saa chhaa jaanaa saa.Nso.n me.n sitaare se khilanaa biite din yaad dilaate ho, biite din yaad dilaate ho mu.D-mu.D ke tumhaaraa raste me.n takanaa vo mujhe jaate-jaate aur meraa ThiThak kar ruk jaanaa chilaman ke qariib aate-aate nazaro.n kaa taras kar rah jaanaa ek aur jhalak paate-paate biite din yaad dilaate ho, biite din yaad dilaate ho ro-ro ke tumhe.n Kat likhatii huu.N ro-ro ke tumhe.n Kat likhatii huu.N aur Kud pa.Dhakar ro letii huu.N haalaat ke tapate tuufaa.n me.n jazbaat kii kashtii khetii huu.N kaise ho? kahaa.N ho? kuchh to kaho, mai.n tum ko sadaae.n detii huu.N mai.n jab bhii akelii hotii huu.N mai.n jab bhii akelii hotii huu.N, tum chupake se aa jaate ho aur jhaa.Nk ke merii aa.Nkho.n me.n, biite din yaad dilaate ho biite din yaad dilaate ho
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.