ik baar zaraa phir kah do, mujhe sharmaake tum diivaanaa


Song Title: ik baar zaraa phir kah do, mujhe sharmaake tum diivaanaa
Movie Name: Bin Badal Barsat
Actor(s)/Actress(es): Biswajeet, Asha Parekh
Singer(s): Hemant Kumar, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Hemant Kumar
Lyricist(s): Shakeel Badayuni
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: ShashiKant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu)
%              Andy J. Lucyshyn (ajl@engr.ucf.edu)
% Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) 
% Date: Thu Aug  3 11:56:50 EDT 1995
% Credits:  
% Editor:  
% Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [49] 
%
%    This Biswajit guy, is really lucky. He has got some of the best
%    songs ever!! I guess I mentioned this recently too, Biswajit, Pradeep
%    Kumar, Joy Mukherjee and Bharat Bhushan -- I guess, they will beat Dev
%    and Shammi dead cold for greta songs!
%
%    This song, I had been planning to post for quite some time. I had
%    this with me for a LONG time. Why? for the ending part of this
%    song. he last 15 seconds of tehis song are worth the whole movie,
%    worth ALL movies of Biswajit :-)))
%    This song happens to be my first song in the "Happy Duets"
%    cassette of *my* wedding present to my wife:-))
%
%    Truly, the best happy duet. It is better than the tumne pukara
%    etc. too!! Why? For its subtlity! The subtle, nazuk thots of the
%    pair! Here it goes...
%
%
he: ik baar zaraa phir kah do
   mujhe sharmaake tum diivaanaa
la: aisii miiThii-miiThii baate.n karake
   kahaa.N siikhaa hai dil kaa lubhaanaa
he: o jaan-e-jaa.n
   ik baar zaraa phir kah do
   mujhe sharmaake tum diivaanaa
la: uu.N-huu.N              %  (OYE HOY, mar jaawaaN)


he: dil lekar raho duur huzuur na hamase
   karo itanaa Guruur na hamase
la: o sajanaa, meraa haar si.ngaar tumhii.n ho
   meraa dam hai tumhaare hii dam se
he: tum shamaa ho to mai.n huu.N parvaanaa
la: aisii miiThii-miiThii baate.n karake
   kahaa.N siikhaa hai dil kaa lubhaanaa
he: o jaan-e-jaa.n
   ik baar zaraa phir kah do
   mujhe sharmaake tum diivaanaa
la: uu.N-huu.N              %  (OYE HOY, mar jaawaaN)

   
he: suno dilbar ye jo diip khushii kaa jalaa hai
   meraa pyaar isii me.n Dhalaa hai
la: meraa dil bhii piyaa leke tumhaaraa sahaaraa
   na_ii raah pe aaj chalaa hai
he: di_aa tumhii.n ne ummiido.n ko Thikaanaa
la: aisii miiThii-miiThii baate.n karake
   kahaa.N siikhaa hai dil kaa lubhaanaa
he: o jaan-e-jaa.n
   ik baar zaraa phir kah do
   mujhe sharmaake tum diivaanaa
la: uu.N-huu.N              %  (OYE HOY, mar jaawaaN)

   
he: tum chaaho to mai.n to.Dake laa duu.N sitaare
   ki ho tum mujhe jaan se pyaare
la: kyaa maa.Nguu.N jab mil ga_e tum mujhe sajanaa
   mai.n to aa ga_ii bas me.n tumhaare
he: meraa dil hai tumhaaraa nazaraanaa
la: aisii miiThii-miiThii baate.n karake
   kahaa.N siikhaa hai dil kaa lubhaanaa
he: o jaan-e-jaa.n
   ik baar zaraa phir kah do
   mujhe sharmaake tum diivaanaa
%
%	(slow, conversational tempo)

he: kaho na
la: diivaanaa
he: phir kaho
la: diivaanaa
he: phir kaho
la: dii-vaa-na
%
%    This is last 15 seconds that his worth ALL movies of Biswajit
%    (and do you want to add on Pradeep Kumar etc! Oh! Oh! hang on,
%    I forgot, Bees Saal Baad is also Biswajit movie. I will have to
%    get down to its songs one day, but I guess, they are all
%    ITRANSed already! )
% 
% -- Pintu Diwana (some call him ShashiKant Joshi)
% 
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .