% % Contributor: ShashiKant Joshi% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 08/03/1995 % Credits: Arun Verma % Neeraj Deshmukh % Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [44] % Now, with the Badalte Rishtey topic hot, I thot this is the best % time to post this song. Had this for a LOOONG time in my % collection. % Lot of Sitar in this song, wonderful semi classical song. % Someone did mention that MK did too much by his "contribution" % :-) no comments! % Raag: Poorn Kalyan (courtsey Vividh Bharati's early morning program % Sangeet Sarita) % % la: merii saa.Nso.n ko jo mahakaa rahii hai ye pahale pyaar kii khushabuu terii saa.Nso.n se shaayad aa rahii hai shuruu ye ye silasilaa, usii din se huaa thaa -2 achaanak tuune jis din mujhe yuu.Nhii chhuaa thaa -2 lahar jaagii jo us pal, tan-badan me.n vo man ko aaj bhii bahakaa rahii hai ye pahale pyaar kii khushabuu terii saa.Nso.n se shaayad aa rahii hai ma: bahut tarasaa hai ye dil, tere sapane sajaake -2 ye dil kii baat sun le, merii baaho.n me.n aake -2 jagaake anokhii pyaas man me.n ye miiThii aag jo dahakaa rahii hai la: ye pahale pyaar kii khushabuu terii saa.Nso.n se shaayad aa rahii hai ye aa.Nkhe.n bolatii hai.n, jo ham na bol paa_e jagii vo pyaas man kii, nazar me.n jhilamilaa_e ho.nTho.n pe terii halakii sii ha.Nsii hai merii dha.Dakan bahakatii jaa rahii hai ye pahale pyaar kii khushabuu terii saa.Nso.n se shaayad aa rahii hai % % -- ShashiKant Joshi urf Pintu Diwana %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.