% % Contributor: Madhuri Jarwala% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 08/09/1995 % Credits: Ashok Dhareshwar % Editor: Rajiv Shridhar % Last Modified: 11/22/1996 % Comments: Released in 1962 % % Dhuu.nDhe nazar-nazar, meraa chaa.Nd hai kidhar aa jagamagaake, yuu.N muskuraake, mujhako rahe na apanii khabar Dole kadam-kadam, banaa husn bhii sitam dil ko bachaake, Kud ko chhupaake, aakhir kahaa.N ab le jaae.n ham aajaa ke mai.n huu.N tere vaaste, aa.Nkho.n kii shamaa jalaae hue vo shokh nazare.n jo piichhaa kare.n, ba.Dhate kadam Dagamagaae hue dil ko bachaake... kah do hamako na dekhe koii, aise ke ye dil dha.Dakane lage mai.n kyaa karuu.N mere siine me.n jab, ek aag miiThii bha.Dakaane lage dil ko bachaake ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.