% % Contributor: Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Aug 17 12:50:21 EDT 1995 % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com) % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [46] % Okay, lyrics are not *that* great as u might have started % expecting :-)) but not bad either. A nice, simple worded, happy % song. Humm it with your SOs and live the memories or make some! % % m: is ishq-o-muhobbat kii, kuchh hai.n ajiib rasme.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n f: na ye tere bas me.n, na ye mere bas me.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n m: kabhii i.ntazaar karate, barasaat kii raato.n me.n kabhii raat guzar jaae, baato.n hii baato.n me.n f: ik dard machalataa hai, is dil kii nas-nas me.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n f: Gar hamako judaa kar de.n, ik baar jahaa.n ke sitam har baar janam lekar, har baar mile.nge ham m: yuu.N ahad-e-vafaa kar le.n, aa milakar aapas me.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n m: mai.n terii mohabbat me.n, har rasm nibhaa duu.Ngaa apanii nii.Nde.n dekar, tere Kvaab sajaa duu.Ngaa f: aisaa hii hotaa hai, jab dil na rahe bas me.n kabhii jiine ke vaade, kabhii marane kii kasame.n % % % -- ShashiKant Joshi urf Pintu Diwana %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.