% % Contributor: Neeraj Malhotra% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 09/06/1996 % Credits: Akif Sultan % Preeti Ranjan Panda % Pavan Kumar Desikan % Preetham Gopalaswamy % David Anthony Windsor % Editor: Rajiv Shridhar % % ai qaatib-e-taqadiir mujhe itanaa bataa de -2 kyo.n mujhase Kafaa hai tuu, kyaa mai.nne kiyaa hai auro.n ko khushii mujhako fakat dard-o-ra.nj-o-Gam duniyaa ko ha.Nsii aur mujhe ronaa diyaa hai kyaa mai.nne kiyaa hai -2 kyo.n mujhase Kafaa hai tuu, kyaa mai.nne kiyaa hai hisse me.n sabake aa_ii hai.n... hisse me.n sabake aa_ii hai.n ra.Ngiin bahaare.n bad-faqtiyaa.N lekin mujhe shiishe me.n utaare.n piite hai.n piite hai.n rog roz-o-shab muzzarrato.n kii may mai.n huu.N ke sataa khuun-e-jigar mai.nne piyaa hai kyaa mai.nne piyaa hai kyaa mai.nne piyaa hai thaa jinake dumak dam se ye aabaad aashiyaa.n ho chahachahaatii ho chahachahaatii bulabule.n jaane ga_ii kahaa.N juganuu kii chamak hai na sitaaro.n kii roshanii is ghup a.ndhere me.n hai merii jaan par banii kyaa thii kyaa thii kyaa thii bataa ke jisakii sazaa tuune mujhako dii kyaa thaa kyaa thaa gunah ke jisakaa badalaa mujhase liyaa hai kyaa mai.nne kiyaa hai kyaa mai.nne kiyaa hai kyo.n mujhase Kafaa hai tuu, kyaa mai.nne kiyaa hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.