% % Contributor: Azra Bano (bano@charlie.ece.sc.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Sep 7 11:10:03 EDT 1995 % Credits: preetham@connectinc.com (Preetham Gopalaswamy) % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % dharatii se duur ho re, baadalo.n ke paar aajaa aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar, aajaa aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar... chhoTii sii apanii duniyaa basaae.n pyaar kaa jisame.n khel rachaae.n chaa.Nd ko apanii naav banaake, su.ndar taare to.D ke laae.n duniyaa se ho apanii duniyaa niraalii jag se niraalaa apanaa pyaar, aajaa aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar... dharatii se duur ho re, baadalo.n ke paar aajaa aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar, aajaa aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar... god me.n leke raat kii raanii roz sunaae na_ii kahaanii chham chham karataa aayaa saveraa phuulo.n kii bel jaae nishaanii (??) shabanam aake mukha.Daa chuume rimakhim barase mast phuhaar, aajaa aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar dharatii se duur ho re, baadalo.n ke paar aajaa aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar, aajaa aajaa basaa le.n nayaa sa.nsaar... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.