% % Contributor: Neeraj Deshmukh (deshmukh@isip01.isip.msstate.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Sep 8 18:37:29 EDT 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % k: kyaa yahii pyaar hai l: haa.N, yahii pyaar hai k: ho, dil tere bin kahii.n lagataa nahii.n vakt guzarataa nahii.n l: kyaa yahii pyaar hai k: haa.N, yahii pyaar hai l: ho, dil tere bin kahii.n lagataa nahii.n vakt guzarataa nahii.n k: pahale mai.n samajhaa, kuchh aur vajah in baato.n kii lekin ab jaanaa, kahaa.N nii.nd ga_ii merii raato.n kii l: jaagatii rahatii huu.N mai.n bhii, chaa.Nd nikalataa nahii.n dil tere bin kahii.n lagataa nahii.n vakt guzarataa nahii.n kyaa yahii pyaar hai... l: kaise bhuuluu.Ngii, tuu yaad hameshaa aaegaa tere jaane se, jiinaa mushkil ho jaaegaa k: ho, ab kuchh bhii ho dil pe koii, zor to chalataa nahii.n dil tere bin kahii.n lagataa nahii.n vakt guzarataa nahii.n kyaa yahii pyaar hai... k: jaise phuulo.n ke, mausam me.n ye dil khilate hai.n premii, aise hii, kyaa patajha.D me.n bhii milate hai.n l: rut badale, duniyaa badale, pyaar badalataa nahii.n dil tere bin kahii.n lagataa nahii.n vakt guzarataa nahii.n kyaa yahii pyaar hai... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.