% % Contributor: Ramesh Hariharan (rameshh@acad1.tp.ac.sg) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Sun Nov 5 17:08:00 EST 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % agar ham kahe.n aur vo muskuraa de.n ham unake li_e zi.ndagaanii luTaa de.n har ek mo.D par ham Gamo.n ko sazaa de.n chalo zi.ndagii ko mohabbat banaa de.n agar Kud ko bhuule to, kuchh bhii na bhuule ki chaahat me.n unakii, Kudaa ko bhulaa de.n kabhii Gam kii aa.Ndhii, jinhe.n chhuu na paae vafaao.n ke ham, vo nasheman banaa de.n qayaamat ke diivaane kahate hai.n hamase shalo unake chahare se pardaa haTaa de.n sazaa de.n, silaa de.n, banaa de.n, miTaa de.n magar vo koii faisalaa to sunaa de.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.