% % Contributor: Himanshu Gupta (hgupta@cs.stanford.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Thu Dec 28 17:16:53 EST 1995 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % tuune o ra.Ngiile kaisaa jaaduu kiyaa -2 piiyaa piiyaa bole matavaalaa jiiaa baaho.n me.n chhupaa ke ye kyaa kiyaa o re piyaa o ... tuune o ra.Ngiile kaisaa jaaduu kiyaa piiyaa piiyaa bole matavaalaa jiiaa paas bulaa ke, gale se lagaa ke tuune to badal Daalii duniyaa na_e hai.n nazaare, na_e hai.n ishaare rahii no vo kal vaalii duniyaa sapane dikhaake tuune ye kyaa kiyaa o re piyaa o ... tuune o ra.Ngiile kaisaa jaaduu kiyaa piiyaa piiyaa bole matavaalaa jiiaa (o mere saajan kaisii ye dha.Dakan shor machaane lagii man me.n jaise laharaae nadiyaa kaa paanii lahar uThe re mere tan me.n) -2 mujh me.n samaa ke ye kyaa kiyaa o re piyaa o ... tuune o ra.Ngiile kaisaa jaaduu kiyaa piiyaa piiyaa bole matavaalaa jiiaa baaho.n me.n chhupaa ke ye kyaa kiyaa o re piyaa o ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.