% % Contributor: % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Wed Jan 17 19:47:39 EST 1996 % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com) % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: Year: 1969 % % tum jahaa.N ho vahaa.N, kyaa ye mausam nahii.n kyaa nazaare vahaa.N muskuraate nahii.n kyaa vahaa.N ye ghataae.n barasatii nahii.n kyaa kabhii ham tumhe.n yaad aate nahii.n tum jahaa.N ho vahaa.N, kyaa ye mausam nahii.n kyaa nazaare vahaa.N muskuraate nahii.n ye zamaanaa hameshaa.n kaa bedard hai dard-e-dil pe, koii haath dharataa nahii.n dil kii fitrat kabhii ek rahatii nahii.n zi.ndagii bhar vafaa, koii karataa nahii.n phir bhii jaise bhulaayaa hai tumane hame.n -2 is tarah bhii kisii ko bhulaate nahii.n tum jahaa.N ho vahaa.n kyaa ye mausam nahii.n kyaa nazaare vahaa.N muskuraate nahii.n dard hai mere dil kaa mere giit me.n giit gaataa huu.N mai.n tum mujhe saaz do raat khaamosh hai aur tanahaa hai dil tum kahaa.N ho zaraa dil ko aavaaz do jo guzaare the hamane, mohabbat me.n din -2 kyaa vo din ab tumhe.n yaad aate nahii.n tum jahaa.N ho vahaa.N, kyaa ye mausam nahii.n kyaa nazaare vahaa.N muskuraate nahii.n tum jahaa.N ho vahaa.N, kyaa ye mausam nahii.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.