% % Contributor: Murthba (murthba@aol.com) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Jan 19 19:24:39 EST 1996 % Credits: Malini Murthy (fl849@cleveland.freenet.edu) % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % ra: aise to na dekho ke bahak jaae.n kahii.n ham aakhir ko ik inasaa.n hai.n farishtaa to nahii.n ham su: haay, aise na kaho baat ke mar jaae.n yahii.n ham aakhir ko ik inasaa.n hai.n farishtaa to nahii.n ham ra: a.nga.Daaii sii letii hai jo khushabuu bharii zulfe.n khushabuu bharii zulfe.n giratii hai tere surkh labo.n par terii zulfe.n labo.n par terii zulfe.n zulfe.n na terii chuum le.n, ai mahajabii.n ham aakhir ko ik inasaa.n hai.n farishtaa to nahii.n ham su: sun sun ke terii baat nashaa chhaane lagaa hai nashaa chhaane lagaa hai khud apane pe bhii pyaar saa kuchh aane lagaa hai aane lagaa hai rakhanaa hai kahii.n paa.Nv to rakhate hai.n kahii.n ham dono.n: aakhir ko ik inasaa.n hai.n farishtaa to nahii.n ham aahaa haa aahaa haa haa, hamm hamm hamm hamm ... aahaa haa aahaa haa haa, hamm hamm hamm hamm ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.