% % Contributor: Neeraj Malhotra (malhotra@bedford.progress.com) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Jan 19 19:46:22 EST 1996 % Credits: Preetham Gopalaswamy (preetham@connectinc.com) % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: 1958 % % (hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne) -2 nazar me.n shoKiyaa.N aur bachapanaa sharaarat me.n adaae.n dekhake ham pha.ns ga_e mohabbat me.n ham apanii jaan se jaae.nge jinakii ulfat me.n yakiin hai ki na aae.nge vo hii maiyyat me.n to ham bhii kah de.nge, ham luT ga_e, sharaafat me.n (hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne) -2 vahii.n-vahii.n pe kayaamat ho vo jidhar jaae.n jhukii-jhukii huii nazaro.n se kaam kar jaae.n ta.Dapataa chho.D de.n raste me.n aur guzar jaae.n sitam to ye hai ki dil le le.n aur mukar jaae.n samajh me.n kuchh nahii.n aataa ki ham dikhar jaae.n yahii iraadaa hai ye kahake ham to mar jaae.n (hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne) -2 vafaa ke naam pe maaraa hai bevafaao.n ne ki dam bhii ham ko na lene diyaa jafaao.n ne Kudaa bhulaa diyaa in husn ke Kudaao.n ne miTaa ke chho.D diyaa ishq kii Kataao.n ne u.Daae hosh kabhii zulf kii havaa.n ne hayaa-e-naaz ne luuTaa kabhii adaao.n ne (hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne) -2 hazaar luT ga_e nazaro.n ke ik ishaare par hazaaro.n bah ga_e tuufaan banake dhaare par na inake vaado.n kaa kuchh Thiik hai na baato.n kaa fasaanaa hotaa hai inakaa hazaar raato.n kaa bahut hasii.n hai vaise to bholapan inakaa bharaa huaa hai magar zahar se badan inakaa ye jisako kaaT le.n paanii vo pii nahii.n sakataa davaa to kyaa hai duaa se bhii jii nahii.n sakataa inhii.n ke maare hu_e ham bhii hai.n zamaane me.n hai chaar lafz mohabbat ke is fasaane me.n (hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne) -2 zamaanaa inako samajhata hai nek.h_vaar maasuum magar ye kahate hai.n kyaa hai kisiiko kyaa maaluum inhe.n na tiir na talvaar kii zaruurat hai shikaar karane ko kaafii nigaahe.n ulfat hai.n hasiin chaal se dil payamal karate hai.n nazar se karate hai.n baate.n kamaal karate hai.n har ek baat me.n matalab hazaar hote hai.n ye siidhe-saade ba.De hoshiyaar hote hai.n Kudaa bachaae hasiino.n kii tez chaalo.n se pa.De kisii kaa bhii pallaa na husna vaalo.n se (hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne) -2 husna vaalo.n me.n mohabbat kii kamii hotii hai chaahane vaalo.n kii taqadiir burii hotii hai inakii baato.n me.n banaavaT hii banaavaT dekhii sharm aa.Nkho.n me.n nigaaho.n me.n lagaavaT dekhii aag pahale to mohabbat kii lagaa dete hai.n apanii ruKasaar kaa diivaanaa banaa dete hai.n dostii kar ke phir a.njaan nazar aate hai.n sach to ye hai ki be_iimaan nazar aate hai.n maute.n kam nahii.n duniyaa me.n muhabbat inakii (???) zi.ndagii hotii barabaad badaulat inakii din bahaaro.n ke guzarate hai.n magar mar-mar ke luT ga_e ham to hasiino.n pe bharosaa kar ke (hame.n to luuT liyaa milake husna vaalo.n ne kaale-kaale baalo.n ne, gore-gore gaalo.n ne) -2 %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.