% % Contributor: Samiuddin Mohammed (sm0e@lehigh.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Jan 19 21:14:38 EST 1996 % Credits: % Editor: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Comments: % % milatii hai zi.ndagii me.n mohabbat kabhii-kabhii hotii hai dilbaro.n kii inaayat kabhii-kabhii sharmaa ke mu.Nh na pher nazar ke savaal par laatii hai aise mo.D par qismat kabhii-kabhii khulate nahii.n hai.n roz dariche bahaar ke aatii hai jaan-e-man ye qayaamat kabhii-kabhii tanahaa na kaT sake.nge javaanii ke raaste pesh aa_egii kisiikii zaruurat kabhii-kabhii phir kho na jaae.n ham kahii.n duniyaa kii bhii.D me.n milatii hai paas aane kii muhalat kabhii-kabhii hotii hai dilbaro.n kii inaayat kabhii-kabhii milatii hai zi.ndagii me.n mohabbat kabhii kabhii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.