% % Contributor: Shashikant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Rajiv Shridhar (rajiv@hendrix.coe.neu.edu) % Date: Fri Jan 26 22:32:19 EST 1996 % Credits: % Editor: % Comments: % % chho.D de saarii duniyaa kisii ke lie ye munaasib nahii.n aadamii ke lie pyaar se bhii zaruurii ka_ii kaam hai.n pyaar sab kuchh nahii.n zi.ndagii ke lie tan se tan kaa milan ho na paayaa to kyaa -2 man se man kaa milan koii kam to nahii.n khushabuu aatii rahe duur se hii sahii saamane ho chaman koii kam to nahii.n chaa.Nd milataa nahii.n sabako sa.Nsaar me.n hai diyaa hii bahut roshanii ke lie kitanii hasarat se takatii hai.n kaliyaa.N tumhe.n kyuu.N bahaaro.n ko phir se bulaate nahii.n ek duniyaa uja.D hii ga_ii hai to kyaa duusaraa tum jahaa.n kyuu.N basaate nahii.n dil ne chaahaa bhii to, saath sa.Nsaar ke chalanaa pa.Dataa hai sab kii khushii ke lie %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.