kaaravaa.n guzar gayaa, Gubaar dekhate rahe


Song Title: kaaravaa.n guzar gayaa, Gubaar dekhate rahe
Movie Name: Nayi Umar Ki Nayi Fasal
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Mohammad Rafi
Music Director(s): Roshan
Lyricist(s): Neeraj
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go back to Index
% 
% Contributor: Sunit 
% Transliterator: Rajiv Shridhar 
% Date: 07/19/1996
%
%
sapan jhare phuul se, miit chubhe shuul se
luT gaye si.ngaar sabhii, baag ke babuul se
aur ham kha.De-kha.De, bahaar dekhate rahe
kaaravaa.n guzar gayaa, Gubaar dekhate rahe

nii.nd bhii khulii na thii, ke hai dhuup Dhal ga_ii
paa.Nv jab talak uThe, ke zi.ndagii phisal ga_ii
paat-paat jhar gae, shaakh-shaakh jal ga_ii
giit ashq ban gae, svapn ho dafan gae
saath ke sabhii die, dhuaa.N pahan-pahan gae
aur ham jhuke-jhuke, mo.D par ruke-ruke
umr ke cha.Dhaav kaa, utaar dekhate rahe
kaaravaa.n guzar gayaa, Gubaar dekhate rahe

kyaa shabaab thaa ke phuul-phuul pyaar kar uThaa
kyaa kamaal thaa ke dekh, aaiinaa sahar uThaa
is taraf zamii.n aur aasmaa.n udhar uThaa
tham kar jigar uThaa, ke jo milaa nazaar uThaa
ek din magar yahaa.N, aisii kuchh havaa chalii
luT ga_ii kalii-kalii, ghuT ga_ii galii-galii
aur ham luTe-luTe, vakt se piTe-piTe
saaz kii sharaab kaa, Kumaar dekhate rahe
kaaravaa.n guzar gayaa, Gubaar dekhate rahe

haath the mile ke zulf, chaa.Nd kii sa.Nvaar duu.N
ho.nTh the khule ke har, bahaar ko pukaar duu.N
dard thaa diyaa gayaa ke, har dukhii ko pyaar duu.N
aur saa.Ns yuu.N ke svarg, bhuumii par utaar duu.N
ho sakaa na kuchh magar, shaam ban ga_ii sahar
vo uThii lahar ke Dhai, gae kile bikhar-bikhar
aur ham Dare-Dare, niir nain me.n bhare
o.Dh kar kafan pa.De, mazaar dekhate rahe
kaaravaa.n guzar gayaa, Gubaar dekhate rahe

maa.Ng bhar chalii ke ek, jab na_ii-na_ii kiraN
Dholake.n dhunak uThii.n, dhumak uThe charaN-charaN
shor mach gayaa ke lo, chalii dulhan chalii dulhan
gaa.Nv sab uma.D pa.Daa, bahak uThe nayan-nayan
par tabhii zahar bharii, gaaj ek vah girii
puuchh gayaa si.nduur, taar-taar huii chunarii
aur ham ajaan se, duur ke makaan se
paalkii li_e hue, kahaar dekhate rahe
kaaravaa.n guzar gayaa, Gubaar dekhate rahe
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .