% % Contributor: Samiuddin Mohammed% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 08/02/1996 % Credits: Roopa % % sabaa se ye kah do ke kaliaa.N bichhaae vo dekho, vo jaan-e-bahaar aa rahaa hai churaa le gayaa jo, in aa.Nkho.n kii nii.nde.n vahii leke dil kaa qaraar aa rahaa hai sabaa se ye kah do ... ye kaun aa gayaa dil ko karataa ishaare ke mahakii fazaa, muskuraae nazaare qadam ba.Dhake tuu chuum le ai mohabbat ke dil ko bahut, unape pyaar aa rahaa hai sabaa se ye kah do ... ye maanaa ke mahafil me.n a.njaan hai tuu magar jab bhii tujhase nigaahe.n milii hai.n mujhe ye lagaa hai, payaam-e-mohabbat nazar se terii baar-baar aa rahii hai sabaa se ye kah do ... ye ra.Ngiin fasaanaa koii mujhase puuchhe ke tuu kaisaa pyaaraa hai kitanaa hasii.n hai sunaa thaa hasii.n jinape karate hai.n jaaduu tujhe dekhakar aitabaar aa rahaa hai sabaa se ye kah do ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.