% % Contributor: David Windsor% Transliterator: David Windsor % Editor: Rajiv Shridhar % Date: 10/22/1996 % % chaharaa chhupaa liyaa hai kisii ne hijaab me.n jii chaahataa hai aag lagaa duu.N naqaab me.n bijalii thii ik jo ham ne chhupaa lii naqaab me.n lag jaatii varanaa aag tumhaare shabaab me.n ham husn ke parvaane jalane se nahii.n Darate anjaam-e-mohabbat kii parvaah nahii.n karate ik baar hii dete hai.n dil apanaa hasiino.n ko ik baar hii marate hai.n sau baar nahii.n marate parvaane se pahale jalii aur parvaane ke saath jalii vo to jalaa bas pal do pal shamaa to saarii raat jalii ek parvaanaa jalaa kis qadar shor machaa tamaam chup-chaap jalii lab pe shikvaa na Gilaa kyaa hai jalane kaa mazaa husn se puuchho zaraa kyo.nki... parvaane ko jal jaanaa ham ne hii sikhaayaa hai vo tab hii jalaa ham ne jab Kud ko jalaayaa hai aashiq kii jaan ishq me.n jaane se peshtar Kud husn Duubataa hai vafaa ke chanaab me.n chahara chhupaa liyaa ... Gar husn nahii.n hotaa ye ishq kahaa.N hotaa phir kis se vafaa karate phir kis kaa vafaa hotaa takaraar se kyaa haasil kuchh bhii na huaa hotaa Gar tum na hasii.n hote Gar mai.n na javaa.n hotaa jis roz se is husn kaa diidaar kiyaa hai bas pyaar kiya pyaar kiyaa pyaar kiyaa hai ye jhuuTh hai ki tum ne hame.n pyaar kiyaa hai ham ne tumhe.n zulfo.n me.n giraftaar kiyaa hai tum husn ho ham ishq hai.n Gar tum tum nahii.n to ham nahii.n hai baat sachchii bas yahii koii kisii se kam nahii.n ek naGamaa hai ek raag hai dono.n taraf ek aag hai tum se hame.n shikvaa bhii hai phir bhii aap se pyaar hai tum bin hame.n kab chain ham ko bhii ye iqaraar hai dekhe to hosh gum ho na dekhe to hosh gum ye pha.ns ga_ii hai jaan merii kis adaab me.n chaharaa chhupaa liyaa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.