% % Contributor: Vandana Venkatesan% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/26/1996 % % la: apanii kaho kuchh merii suno kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae ta: rone kii aadat aisii pa.Dii ha.Nsane kaa taraanaa bhuul gae, haa.N bhuul gae la: kaalii raate.n biit ga_ii.n phir chaa.Ndanii raate.n aaii hai.n -2 ta: dil me.n nahii.n ujiyaalaa mere Gam kii ghaTaae.n chhaaii hai.n -2 la: priit ke vaade yaad karo kyaa priit nibhaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae ta: bhuulaa huaa hai raah musaafir bichha.Daa huaa hai ma.nzil se -2 la: khoe hue raste kaa pataa tum puuchh lo Kud apane dil se -2 ta: chalate chalate aise thake ma.nzil kaa Thikaanaa bhuul gae, haa.N bhuul gae la: nazdiik aao, nazdeek aa ... yah mausam nahii.n phir aane kaa -2 ta: nazdiik shamaa ke jaane se kyaa haal huaa parvaane kaa -2 la: miTane kaa fasaanaa yaad rahaa jalane kaa fasaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae apanii kaho kuchh merii suno kyaa dil kaa lagaanaa bhuul gae, kyaa bhuul gae %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.