% % Contributor: Neha Desai% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/29/1996 % % na puuchho pyaar kii, hamane jo hakiikat dekhii vafaa ke naam pe, bikate hue ulfat dekhii kisii ne luuT liye, aur hame.n khabar na huii khulii jo aa.Nkh to, barabaad mohabbat dekhii sab kichh luTaake hosh me.n aae to kyaa kiyaa din me.n agar chiraag jalaaye to kyaa kiyaa mai.n vo kalii jo na bahaaro.n me.n khil sakii - 2 vo dil jisako pyaar kii ma.nzil na mil sakii patthar pe hamane phuul cha.Dhaae to kyaa kiyaa din me.n agar chiraag jalaae to kyaa kiyaa jo mil na sakaa pyaar Gam kii shaam to mile - 2 ek bevafaa se pyaar kaa a.njaam to mile aaiye maut jaldii aa, aaiye maut jaldii aa zaraa aaraam to mile ... ??? ??? to kyaa %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.