% % Contributor: Neha Desai% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/29/1996 % % chaa.Nd maddham hai aasmaan chup hai nii.nd kii god me.n jahaa.n chup hai chaa.Nd maddham hai ... duur vaadii me.n dukhiyaa baadal jhuk ke parbat ko pyaar karate hai.n dil me.n naakaam hasarate.n lekar ham teraa i.ntezaar karate hai.n in bahaaro.n ke saaye me.n aajaa phir mohabbat javaan rahe na rahe zi.ndagii tere naamuraado.n par kal talak maharabaan rahe na rahe roz kii tarah, aaj bhii taare subah kii gard me.n na kho jaaye aa tere Gam me.n, jaagatii aa.Nkhe.n kam-se-kam ek raat so jaaye chaa.Nd maddham hai aasmaan chup hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.