% % Contributor: Kamlesh Nanavati% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/30/1996 % % vohii u.Dii-u.Dii ghaTaae.n hai.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n - 2 vohii bhiigii-bhiigii havaae.n hai.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n - 2 hai kalii se gul ko mile hue, yahaa.N zaKm-e-dil hai khile hue vohii koyalo.n kii sadaae.n hai, vohii koyalo.n kii sadaae.n hai ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n jo kiye the vaade nigaaho.n me.n, vohii u.D gae aae havaao.n me.n vohii khoii-khoii fizaae.n hai.n, vohii khoii-khoii fizaae.n hai.n ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n yahii.n kal to tum mere saath the, gore haatho.n me.n mere haath the magar aaj ho.NTho.n pe aahe.n hai.n, magar aaj ho.NTho.n pe aahe.n hai.n ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n, ek tum nahii.n ho to kuchh nahii.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.