% % Contributor: Malini Kanth% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/31/1996 % % terii chhoTii sii ek bhuul ne saaraa gulshan jalaa diyaa kyaa mahake.nge phir phuul kabhii, kyaa phir se bahaare.n aae.ngii jaane kahaa.N kii riit hai ye, koii kare aur koii bhare nyaaya nahii.n anyaaya hai ye, doshii ji_e, nirdosh mare sun le tuu ai qaafil (???), tujhase kahe teraa dil terii chhoTii sii ... tuune a.ndhere de ke ise, chhiin lii naino.n kii muskaan saa.Njh savere, raat aur din, isake lie ek samaan sun le tuu ai qaafil (???), tujhase kahe teraa dil terii chhoTii sii ... tere chalan kii aa.Ndhii ne, dekh le kitane ghar luuTe bikhar gae rishte naate, jiivan ke saathii chhuuTe sun le tuu ai qaafil (???), tujhase kahe teraa dil terii chhoTii sii ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.