% % Contributor: Falcon% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 10/31/1996 % % mujhe chhuu rahii hai.n, terii narm saa.Nse.n mere raat aur din mahakane lage hai.n jis dil me.n basate the, tuufaan ke baadal vahaa.N ab ishq ke, diye jal rahe hai.n gumaraah phirataa thaa mai.n, ek khoyaa paravaanaa tere dil kii shamaa ne maqsad diyaa mujh ko jo sapane the murdaa taariikii me.n khoe is mohabbat kii roshanii se, jiine lage hai.n kaa.NTo.n se bharaa thaa, ye safar meraa tere dam se gulaabo.n kaa, farsh bichh gayaa vo phuul jo kabhii bhii khil na sake the aaj shabanam kii badaulat, muskuraa rahe hai.n vaadaa hai ye meraa, na chho.Duu.Ngaa saath teraa marate dam tak teraa saath duu.Ngaa jis ruuh pe log taras khaate the aaj farishte bhii mujhase ishq karane lage hai.n mujhe chhuu rahii hai.n, terii narm saa.Nse.n mere raat aur din mahakane lage hai.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.