% % Contributor: Pavan Kumar Desikan (pkd@duke.cs.duke.edu) % Transliterator: % Date: 11/03/1996 % Editor: Rajiv Shridhar% % le aaI phir kahaa.N par, qismat hame.n kahaa.N se -2 ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par majabuur kar rahii hai, phir gardish-e-zamaanaa -2 ham chhe.D de.n vahii.n se, guzaraa huaa fasaanaa lekin koI bataa de, bhuule the ham kahaa.N se ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par terii hii a.njuman me.n, ye i.ntezaar teraa -2 tere baGair saathii, jashn-e-bahaar teraa ye kaun sii adaa hai, puuchhe.nge aasmaan se ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par mahafil me.n aapakii ham, kuchh aur to na laae -2 naGamaat me.n sajaakar, jazabaat leke aae yaad aae.nge bahut ham, jaae.nge jab yahaa.N se ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par, qismat hame.n kahaa.N se -2 ye to vohii jagah hai, guzare the ham jahaa.N se le aaI phir kahaa.N par %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.