% % Contributor: Ashok Dhareshwar% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 02/17/1997 % % baadalo.n kaa naam na ho, ambar ke gaa.Nvo.n me.n jalataa ho ja.Ngal khud apanii chhaa.Nv me.n yahii to hai mausam - 2 tum aur ham baadalo.n ke naGame.n gunagunaae.n tho.Daa saa ruumaanii ho jaae.n mushkil hai jiinaa - 2 ummiid ke binaa tho.De se sapane sajaae.n tho.Daa saa ruumaanii ho jaae.n tho.Daa saa ruumaanii ho jaae.n raasataa akelaa ho, har taraf a.ndheraa ho raat bhii ho ghaat kii, din bhii luTeraa ho yahii to hai mausam - 2 aao tum aur ham yahii to hai mausam aao tum aur ham dard ko baa.Nsurii banaae.n tho.Daa saa ruumaanii ho jaae.n (mushkil hai jiinaa ummiid ke binaa) - 2 tho.De se sapane sajaae.n tho.Daa saa ruumaanii ho jaae.n tho.Daa saa ruumaanii ho jaae.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.