% % Contributor: Kamlesh% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 02/20/1997 % Comments: Year 1965 % % (tuu mere saamane hai terii zulfe.n hai.n khulii teraa aa.Nchal hai Dhalaa mai.n bhale hosh me.n kaise rahuu.N) - 2 tuu mere saamane hai ... terii aa.Nkhe.n to chhalakate hue paimaane hai.n aur tere ho.nTh larajate hue maikhaane hai.n mai.n bhalaa hosh me.n kaise rahuu.N, kaise rahuu.N tuu mere saamane hai ... tuu jo ha.Nsatii hai to bijalii sii chamak jaatii hai terii saa.Nso.n se Gulaabo.n kii mahak aatii hai tuu jo chalatii hai to kudarat bhii bahak jaatii hai mai.n bhalaa hosh me.n kaise rahuu.N, kaise rahuu.N tuu mere saamane hai ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.