% % Contributor: Guri Buzi% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 03/30/1997 % % jo samar me.n ho gae amar, mai.n unakii yaad me.n gaa rahii huu.N aaj shradhdhaa.Njalii-giit dhanyavaad me.n jo samar me.n ho gae amar ... lauT kar na aae.nge vijay dilaane vaale viir mere giit a.njalii me.n unake li_e nayan-niir sa.ng phuul-paan ke ra.Ng hai.n nishaan ke shuur viir aan ke jo samar me.n ho gae amar ... vijay ke phuul khil rahe hai.n, phuul adh-khile jhare unake khuun se hamaare khet-baag-ban hare dhruva hai.n kraa.Nti-gaan ke suurya nava-vihaan ke shuur viir aan ke jo samar me.n ho gae amar ... vo gae ki rah sake svata.ntrataa svadeshh kii vishva bhar me.n maanyataa ho mukti ke sa.ndesh kii praaN desh-praaN ke muurti svaabhimaan ke shuur viir aan ke jo samar me.n ho gae amar, mai.n unakii yaad me.n gaa rahii huu.N aaj shradhdhaa.Njalii-giit dhanyavaad me.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.