% % Contributor: Satish C. Kalra% Transliterator: Rajiv Shridhar % Date: 03/30/1997 % % zamaane me.n ajii aise ka_ii naadaan hote hai.n vahaa.N le jaate hai.n kashtii jahaa.N tuufaan hote hai.n shamaa kii bazm me.n aa kar ke paravaane samajhate hai.n yahii.n par umr guzaregii yah diivaane samajhate hai.n magar ik raat ke yah to faqat mehamaan hote hai.n zamaane me.n ... mohabbat sabakii mahfil me.n shamaa ban kar nahii.n jalatii hasiino.n kii nazar sab pe chhurii ban kar nahii.n chalatii jo hai.n taqadiir vaale bas vahii qurbaan hote hai.n zamaane me.n ... Dubo kar duur saahil se nazaaraa dekhanevaale lagaa kar aag chup ke se tamaashaa dekhanevaale tamaashaa aap banate hai.n to kyo.n hairaan hote hai.n zamaane mei.n ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.