bhagavaan do gha.Dii zaraa insaan banake dekh


Song Title: bhagavaan do gha.Dii zaraa insaan banake dekh
Movie Name: Bahaar
Actor(s)/Actress(es): Karan Diwan, Vyjayanthimala
Singer(s): Geeta Dutt
Music Director(s): Sachin Dev Burman
Lyricist(s): Rajinder Krishan
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
%          Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
%          Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
bhagavaan do gha.Dii jaraa i.nsaan banake dekh
dharatii pe chaar din kabhii mehamaan banake dekh
mehamaan banake dekh

o o o 
hai jinako terii yaad kabhii unakii le khabar
kabhii unakii le khabar
aasamaan vaale kabhii gariibo.n pe kar nazar
gariibo.n pe kar nazar
dil me.n kisii gariib ke aramaan banake dekh
dharatii pe chaar din ...

o o o
jo kuchh bhii ho rahaa hai vo terii nazar me.n hai
terii nazar me.n hai
aa dekh merii aas kii naiyaa bha.nvar me.n hai, naiyaa bha.nvar me.n hai
sab jaanate hue bhii naa anajaan banake dekh
dharatii pe chaar din ...

o o o
tujh ko khabar nahii.n koI kitanaa niraash hai
kitanaa niraash hai
tinake kii Duubate ko maalik talaash hai, maalik talaash hai
inasaan ban sake naa to bhagavaan banake dekh
dharatii pe chaar din ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .