itanaa na mujhase tuu pyaar ba.Dhaa, ke mai.n ek baadal aavaaraa


Song Title: itanaa na mujhase tuu pyaar ba.Dhaa, ke mai.n ek baadal aavaaraa
Movie Name: Chhaaya
Actor(s)/Actress(es): Sunil Dutt, Asha Parekh
Singer(s): Talat Mehmood, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Salil Chaudhari
Lyricist(s): Rajinder Krishan
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
ta:
itanaa na mujhase tuu pyaar ba.Dhaa
ke mai.n ek baadal aavaaraa
kaise kisii kaa sahaaraa banuu.N
ke mai.n khud beghar bechaaraa
itanaa na...

ta: 
mujhe ek jagah aaraam nahii.n
ruk jaanaa meraa kaam nahii.n
meraa saath kahaa.n tak dogii tum 
mai desh videsh kaa ba.njaaraa

la :
is liye tujhase pyaar karuu.n
ke tU ek baadal Avaaraa
janam janam se huu.n saath tere 
ke naam meraa jal kii dhaaraa

la:
o niil gagan ke diivaane
tuu pyaar na meraa pahachaane
mai.n tab tak saath chaluu.N tere
jab tak na kahe tuu mai.n haaraa

ta:
aramaan thaa gulashan par barasuu.N
ek shokh ke daaman par barasuu.N
afasos jalii miTTii pe mujhe
taqadiir ne merii de maaraa
itanaa na...

% here is one stanza from the slower/sad version by Talat
ta:
madahosh hameshaa rahataa huu.N
khaamosh huu.N kab kuchh kahataa huu.N
koii kyaa jaane mere siine me.n
hai bijalii kaa bhii a.ngaaraa

ta:
kyuu.N pyaar me.n tuu naadaan bane
ik baadal kaa aramaan bane
meraa saath kahaa.N tak dogii tum
mai.n des-bides kaa ba.njaaraa
itanaa na...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .