jaane kyaa Dhuu.NDhatii rahatii hai.n ye aa.Nkhe.n mujhame.n


Song Title: jaane kyaa Dhuu.NDhatii rahatii hai.n ye aa.Nkhe.n mujhame.n
Movie Name: Shola aur Shabnam
Actor(s)/Actress(es): Dharmendra
Singer(s): Mohammad Rafi
Music Director(s): Khaiyyam
Lyricist(s): Kaifi Azmi
Category(ies): Songs about Eyes


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org)
% Credits: Shashi Kant Joshi (taken off soc.culture.indian) 
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
jaane kyaa Dhuu.NDhatii rahatii hai.n ye aa.Nkhe.n mujhame.n
raakh ke Dher me.n sholaa hai na chi.ngaarii hai
ab na vo pyaar na usakii yaade.n baakii
aag yuu.N dil me.n lagii kuchh na rahaa kuchh na bachaa
jisakii tasviir nigaaho.n me.n liye baiThaa ho
mai.n vo diladaar nahii.n usakii huu.N khaamosh chitaa

zi.ndagii ha.Ns ke na guzaratii to bahut achchhaa thaa
khair ha.Ns ke na sahii ro ke guzar jaayegii
raakh barabaad muhabbat kii bachaa rakhii hai.n
baar-baar isako jo chhe.Daa to bikhar jaayegii

aarazuu jurma vafaa jurma tamannaa hai gunaaha
ye vo duniyaa hai jahaa.N pyaar nahii.n ho sakataa
kaise baazaar kaa dastuur tumhe.n samajhaauu.N
bik gayaa jo vo khariidaar nahii.n ho sakataa ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .