% % Contributor: % Transliterator: % Credits: Rakesh Jain (jain@seas.smu.edu) % C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Satish Subramanian (subraman@cs.umn.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ek pyaar kaa naGamaa hai, maujo.n kii ravaanii hai zi.ndagii aur kuchh bhii nahii.n, terii merii kahaanii hai - (2) kuchh paakar khonaa hai, kuchh khokar paanaa hai jiivan kaa matalab to, aanaa aur jaanaa hai do pal ke jiivan se, ek umr churaanii hai zi.ndagii aur... tuu dhaar hai nadiyaa kii, mai.n teraa kinaaraa huu.N tuu meraa sahaaraa hai, mai.n teraa sahaaraa huu.N aa.Nkho.n me.n sama.ndar hai, aashaao.n kaa paanii hai zi.ndagii aur... tuufaan to aanaa hai, aakar chale jaanaa hai baadal hai ye kuchh pal kaa, chhaakar Dhal jaanaa hai parachhaai.nyaa.N rah jaatii.n, rah jaatii nishaanii hai zi.ndagii aur... jo dil ko tasallii de, vo saaz uThaa laao dam ghuTane se pahale hii, aavaaz uThaa laao khushiyo.n kii tamannaa hai, ashko.n kii ravaanii hai zi.ndagii aur... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.