% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % ta: itanaa na mujhase tuu pyaar ba.Dhaa ke mai.n ek baadal aavaaraa kaise kisii kaa sahaaraa banuu.N ke mai.n khud beghar bechaaraa itanaa na... ta: mujhe ek jagah aaraam nahii.n ruk jaanaa meraa kaam nahii.n meraa saath kahaa.n tak dogii tum mai desh videsh kaa ba.njaaraa la : is liye tujhase pyaar karuu.n ke tU ek baadal Avaaraa janam janam se huu.n saath tere ke naam meraa jal kii dhaaraa la: o niil gagan ke diivaane tuu pyaar na meraa pahachaane mai.n tab tak saath chaluu.N tere jab tak na kahe tuu mai.n haaraa ta: aramaan thaa gulashan par barasuu.N ek shokh ke daaman par barasuu.N afasos jalii miTTii pe mujhe taqadiir ne merii de maaraa itanaa na... % here is one stanza from the slower/sad version by Talat ta: madahosh hameshaa rahataa huu.N khaamosh huu.N kab kuchh kahataa huu.N koii kyaa jaane mere siine me.n hai bijalii kaa bhii a.ngaaraa ta: kyuu.N pyaar me.n tuu naadaan bane ik baadal kaa aramaan bane meraa saath kahaa.N tak dogii tum mai.n des-bides kaa ba.njaaraa itanaa na... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.