% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % % zaahid sharaab piine de masjid me.n baiThakar yaa vo jagah bataa de jahaa.N par khudaa na ho mujhako yaaro.n maaf karanaa mai.n nashe me.n huu.N ab to mumakin hai bahakanaa mai.n nashe me.n huu.N kal kii raat miT rahii hai dard bhii hai kam ab zaraa aaraam se aa jaa rahaa hai dam kam hai ab dil kaa ta.Dapanaa mai.n nashe me.n huu.N Dhal chukii hai raat ab to uTh ga_ii mahafil mai.n kahaa.N jaauu.N nahii.n koii merii ma.nzil do kadam mushqil hai chalanaa mai.n nashe me.n huu.N hai zaraa sii baat aur chhalake hai pyaale par na jaane kyaa kahe.nge ye jahaa.N vaale tum bas itanaa yaad rakhanaa mai.n nashe me.n huu.N %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.