ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane


Song Title: ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
Movie Name: Tere Ghar Ke Saamne
Actor(s)/Actress(es): Dev Anand, Nutan
Singer(s): Mohammad Rafi, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Sachin Dev Burman
Lyricist(s): Hasrat Jaipuri
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  Atish Sanyal (asanyal@worldbank.org)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
% Comments: Dev is getting drunk; Nutan appears in glass.
%           Trick cinematography is great, especially for a 1960s film!
%
dev  : chaahe aasamaan TuuT pa.De
       chaahe dharatii phuuT jaaye
       chaahe hastii hI kyo.n na miT jaaye
       phir bhii mai.n ...
nUtan: phir bhii mai.n?

rafii : tere ghar ke saamane
       ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
       duniyaa basaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
       ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane

lataa : ghar kaa banaanaa koii, aasaan kaam nahii.n
       duniyaa basaanaa koii, aasaan kaam nahii.n
rafii : dil me.n vafaaye.n ho.n to, tuufaa.n kinaaraa hai
       bijalii hamaare liye, pyaar kaa ishaaraa hai
       tan man luTaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
       duniyaa basaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
       ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane

lataa : kahate hai.n pyaar jise, dariyaa hai aag kaa
       yaa phir nashaa hai koii, jiivan ke raag kaa
rafii : dil me.n jo pyaar ho to, aag bhii phuul hai
       sachchii lagan jo ho to, parbat bhii dhuul hai
       taare sajaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
       duniyaa basaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
       ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane

lataa : kaa.nTo.n bhare hai.n lekin, chaahat ke raaste
       tum kyaa karoge dekhe.n, ulafat ke vaaste
rafii : ulafat me taaz chhuuTe, ye bhii tumhe.n yaad hoga
       ulafat me taaz bane, ye bhii tumhe.n yaad hoga
       mai.n bhii kuchh banaauu.ngaa
lataa  : huu.N
rafii : tere ghar ke saamane
lataa : dekhe.n
rafii : duniyaa basaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
       ik ghar banaauu.ngaa, tere ghar ke saamane
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .