parii ho aasamaanii tum magar tumako to paanaa hai


Song Title: parii ho aasamaanii tum magar tumako to paanaa hai
Movie Name: Zamane Ko Dikhana Hai
Actor(s)/Actress(es): Rishi Kapoor, Padmini Kolhapure
Singer(s): Shailendra Singh, Asha Bhonsle, Rishi
Music Director(s): Rahul Dev Burman
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor: Ravi Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Credits:  Reeta  Sinha (librs@emoryu1.cc.emory.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
%
%
R^ishhi: gafaatiin aur hazaraat 
aaj kii shaam is mahafil me.n Apake pasa.ndIdaa qavvaal 
chulabule asaraanii saahab ko bulaayaa gayaa thaa magar 
achaanak tabIyat kharaab hojaane kI vajah se vo chulabule 
gulabule se gulagule hokar bulabule ho chuke hai.n 
isaliye yahaa.n nahii.n aa sake.  unake nA aane kii mai.n 
zanaab karnal Tipsii se muaafii chaahataa huu.N is 
guzaarish ke saath ki unakii ye hasiin mahafil saaz aur 
aavaaz ke jaaduu se maharuum nahii.n rahegii. agar mere 
sIne me.n dil hai aur us dil me.n ta.Dap aur usakA asar 
ta.Dap laazamii hai apane aavaaz se sab dilo.n ko jItane 
kaa vAyadaa to nahii.n kar sakataa par huzUr agar ye 
naachiiz agar ek raat me.n ek dil bhii jiit sakaa to merii 
qismat chamak uThegii. 

shailendra: haa.n ...
kyaa ishq ne samajhaa hai kyaa husn ne zaanaa hai 
ham Kaak hasiino kii Thokar me.n zamaanaa hai 
(parii ho aasamaanii tum magar tumako to paanaa hai) - 5 
muhabbat kaise karate hai.n haa.n muhabbat kaise karate hai.n 
zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 
ko: zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 

haa.n mohabbat kaise karate hai.n 
ko: kaise karate hai.n mohabbat 
haa.n haa.n mohabbat kaise karate hai.n 
ko: kaise karate hai.n mohabbat 
kaise karate hai.n mohabbat dikhaanaa hai 
ko: dikhaanaa hai 
dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 
ko: zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 
parii ho aasamaanii tum magar tumako to paanaa hai 

aa: husn kahaa tuu kaun hai 
mai.nne kahaa shaidaa teraa
husn kahaa takataa hai kyaa 
mai.nne kahaa sUrat terii 
aa usane kahaa kyaa chaahiye 
mai.nne kahaa ulfat terii 
usane kahaa mumakin nahii 
mai.nne kahaa yuu.n hii sahii 
ko: usane kahaa mumakin nahii mai.nne kahaa yuu.n hii sahii 
ho merii tamannaa dilabar zaanaa khel nahii.n 
ko: ishq hai
saaye me.n talvaar ke aanaa khel nahii.n hai
ko: ishq hai
yuu.n hosh gaa.Nvaanaa
ko: ishq hai
ye haal banaanA 
Ko: ishq hai 
is dar tak aanaa 
ko: ishq hai
aavaaz lagaanaa
ko: ishq hai 
yuu.n hosh ga.nvaanaa ye haal banaanA is dar tak aanaa sadaa lagaanaa
ko: ishq hai
ishq hai 

ishq vo naGamA sun ke jise are ishq vo nagamA sun ke jise 
mahalo.n ke parade jalate hai.n 
ko: mahalo.n ke parade jalate hai.n 
ishq vo naGamaa sun ke jise sun ke jise vo naGamaa
sun ke jise mahalo.n ke parade jalate hai.n 
jalate hai.n jalate hai.n jalate hai.n jalate hai.n 
tum chale aaoge ejii tum to chale aaoge 
aise aag pe jaise chalate hai.n 
ko: aag pe jaise chalate hai.n 
(haa.n karo naa meharabaanii tum magar tumako to paanaa hai) - 2 
(mohabbat kaise karate hai.n ) - 2 
zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 
ko: zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 

laayaa thaa mai.n daave zigar tumane to dekhaa bhii nahii.n 
aayaa thaa mai.n kis pyaar se tumane to pUchhaa bhii nahii.n 
la la ... ## hummming of puchho naa yaar kyaa hua ##
patthar lagaa jab qais ko mashahuur-e-aalam ho gayaa 
ko: patthar lagaa jab qais ko mashahuur-e-aalam ho gayaa 
zakhmii huaa farahaad to duniyaa me.n maatam ho gayaa 
ko: zakhmii huaa parahaad to duniyaa me.n maatam ho gayaa 
ho meraa zakhm koii kyaa zaane jo siine ke niiche hai 
mujhape tiir chalaane vaalaa parade ke pIchhe hai 
vo paradaa nashii.n hai 
ko: parade me.n 
vo zoharaa zabii.n hai 
ko: parade me.n 
vo sabase hasii.n hai 
ko: parade me.n 
vo aaj yahii.n hai 
ko: parade me.n 
vo paradaa nashii.n vo zoharaa zabii.n vo sabase hasii.n vo aaj yahii.n hai 
ko: parade me.n

ab dikhalaaye jo bhii najar ab dikhalaaye jo bhii najar 
vo aaj dIvaanaa dekhegaa 
ko: vo aaj dIvaanaa dekhegaa 
ab dikhalaaye jo bhii najar jii bhii najar dikhalaaye 
jo bhii najar dikhalaaye dIvaanaa aaj dekhegaa 
dekhegaa dekhegaa dekhegaa dekhegaa 
phir jab merii shaam sajegii phir jab merii shaam sajegii 
saaraa zamaanaa dekhegaa saaraa zamaanaa dekhegaa 
ko: saaraa zamaanaa dekhegaa 
chhupo ai yaar zaanii tum magar tumako to paanaa hai - 2 
(mohabbat kaise karate hai.n ) - 2 
zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 
ko: zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 
parii ho aasamaanii tum magar tumako to panaa hai
ko: (paanaa hai tumako paanaa hai) - 4
aashaa: parii ho aasamaanii tum magar tumako to paanaa hai... 
mahazabii.n hai 
ko: aahaa
naazanii.n hai
ko: aahaa
ai hasii.n
ko: naazanii.n
aahaa
ko: mahazabii.n
mahazabii.n naazanii.n ai hasii.n tumako to paanaa hai
tumako to paanaa hai - 4
mohabbat kaise karate hai.n - 2 
zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 
ko: zamaane ko dikhaanaa hai zamaane ko dikhaanaa hai 
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .