% % Contributor: ShashiKant Joshi (rava0002@gold.tc.umn.edu) % Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu) % Comments: Pankha Road se Pintu Diwana [9] % Hats off to Sahir, can't believe it was not itransed YET! % % aurat ne janam diyaa mardo.n ko, mardo.n ne use baazaar diyaa jab jii chaahaa kuchalaa masalaa, jab jii chaahaa dutkaar diyaa tulatii hai kahii.n diinaaro.n me.n, bikatii hai kahii.n baazaaro.n me.n na.ngii nachavaaii jaatii hai, aiyyaasho.n ke darabaaro.n me.n ye vo beizzat chiiz hai jo, ba.nT jAtI hai izzatadaaro.n me.n mardo.n ke liye har zulm ravaa.N, aurat ke liye ronaa bhii khataa mardo.n ke liye laakho.n seje.n, aurat ke liye bas ek chitaa mardo.n ke liye har aish kaa haq, aurat ke liye jiinaa bhii sazaa jin hoTho.n ne inako pyaar kiyaa, un hoTho.n kaa vyaapaar kiyaa jis kokh me.n inakaa jism Dhalaa, us kokh kaa kaarobaar kiyaa jis tan se uge kopal ban kar, us tan ko zaliil-o-khAr kiyaa mardo.n ne banaayii jo rasme.n, unako haq kaa faramaan kahaa aurat ke zindaa jal jaane ko, kurbaanii aur balidaan kahaa qismat ke badale roTii dii, usako bhii ehasaan kahaa sa.nsaar kii har ek besharmii, gurbat kii god me.n palatii hai chakalo.n me.n hii aa ke rukatii hai, faako.n me.n jo raah nikalatii hai mardo.n kii havas hai jo aksar, aurat ke paap me.n Dhalatii hai aurat sa.nsaar kii qismat hai, fir bhii taqadiir kii hotii hai avataar payambar janatii hai, phir bhii shaitaan kii beTii hai ye vo badaqismat maa.N hai jo, beTo.n kii sez pe leTii hai %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.