ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham


Song Title: ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham
Movie Name: Light House
Actor(s)/Actress(es):
Singer(s): Asha Bhonsle
Music Director(s):
Lyricist(s): Sahir Ludhianvi
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  Guri (buxi@ix.netcom.com)
% Transliterator: Ravi Kant Rai (rrai@plains.nodak.edu)
% Editor: Anurag Shankar (anurag@chandra.astro.indiana.edu)
%
%
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham 
Thukaraa nA de.n jahaa.n ko kahii.n bedilI se ham 
ta.ng aa chuke 

lo aaj hamane to.D diyaa, rishtaa-e-ummId - 2
lo ab kabhI gilaa nA kare.nge kisii se ham 
Thukaraa nA de.n jahaa.n ko kahii.n bedilI se ham 
ta.ng aa chuke 

gar zindagii me.n mil gaye phir ittafaaq se - 2
puuchhe.nge apanaa haal terI bebasI se ham 
Thukaraa nA de.n jahaa.n ko kahii.n bedilI se ham 
ta.ng aa chuke 

o aasamaan vAle kabhI to nigaah kar - 2
ab tak ye zulm sahate rahe khaamoshI se ham 
Thukaraa nA de.n jahaa.n ko kahii.n bedilI se ham 
ta.ng aa chuke 
ta.ng aa chuke hai.n kashmakash-e-zindagii se ham 
ta.ng aa chuke 
##
the last verse was simplified again from the original: 
##
allaah re fareb-e-mashIyat ke aaj tak 
duniyaa ke zulm sahate rahe khaamoshii se ham 
##
[##mashIyat##=the will of god] 
another good one from the same ghazal is: 
##
maayuusii-e-maal-e-mohabbat nA puuchhiye 
apano.n se pesh aaye hai.n begaanagii se ham 
##
[##maal##=termination, also, consequence] 
##
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .