% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % % guzare hai.n aaj ishq me.n ham us maqaam se nafarat sii ho ga_ii hai muhabbat ke naam se hamako na ye gumaan thaa, o sa.ngadil sanam raah-e-vafaa se tere bahak jaae.nge qadam chhalakegaa zahar bhii terii aa.Nkho.n ke jaam se o bevafaa teraa bhii yuu.N hii TuuT jaae dil tuu bhii ta.Dap-ta.Dap ke pukaare haay dil teraa bhii saamanaa ho kabhii, Gam kii shaam se ham vo nahii.n jo pyaar me.n rokar guzaar de.n parachhaaI.n bhii ho terii to Thokar se maar de.n vaaqif hai.n ham bhii Kuub har ek i.ntaqaam se %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.