% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % % merii kahaanii bhuulane vaale teraa jahaa.N aabaad rahe, merii kahaanii terii khushii par mai.n miT jaauu.n duniyaa terii aabaad rahe merii kahaanii mere giit sune duniyaa ne magar meraa dard na koI jaan sakaa ek teraa sahaaraa thaa dil ko par tuu bhii na mujhe pahachaan sakaa bachapan ke vo giit puraane aaj tujhe na yaad rahe merii kahaanii mai.n apanaa fasaanaa kah na sakaa mere dil kii tamannaa dil me.n rahii jo aaj kinaare par aake aramaano.n kii kashtii Duub ga_ii qismat ko ma.nzuur yahii thaa lab par mere fariyaad rahe merii kahaanii %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.