% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Editor: % % terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai ki mar jaae.n vohii aa.Nsuu, vohii aahe.n, vohii Gam hai.n jidhar jaae.n terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai kii mar jaae.n koii to aisaa ghar hotaa jahaa.n se pyaar mil jaataa vohii begaane chehare hai.n jahaa.N pahu.Nche jidhar jaae.n terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai kii mar jaae.n are o aasamaa.N vaale bataa isame.n buraa kyaa hai khushii ke chaar jho.nke gar idhar se bhii guzar jaae.n terii duniyaa me.n jiine se to behatar hai kii mar jaae.n %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.