% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Editor: % % ye raat ye chaa.Ndanii phir kahaa.N sun jaa dil kii daastaa.N ye raat... pe.Do.n kii shaakho.n pe soii soii chaa.Ndanii tere khayaalo.n me.n khoii khoii chaa.Ndanii aur tho.Dii der me.n thak ke lauT jaaegii raat ye bahaar kii phir kabhii na aaegii do ek pal aur hai ye samaa, sun jaa... laharo.n ke ho.nTho.n pe dhiimaa dhiimaa raag hai bhiigii havaao.n me.n Tha.nDii Tha.nDii aag hai is hasiin aag me.n tuu bhii jalake dekhale zi.ndagii ke giit kii dhun badal ke dekhale khulane de ab dha.Dakano.n kii zubaa.N, sun jaa... jaatii bahaare.n hai.n uThatii javaaniyaa.N taaro.n ke chhaao.n me.n pahale kahaaniyaa.N ek baar chal diye gar tujhe pukaarake lauTakar na aae.nge qaafile bahaar ke aajaa abhii zi.ndagii hai javaa.N, sun jaa... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.