% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K Gopalakrishnan (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: C. S. Sudarshana Bhat (cesaa129@utacnvx.uta.edu) % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: % % dukhii man mere sun meraa kahanaa jahaa.N nahii.n chainaa vahaa.N nahii.n rahanaa dukhii man... dard hamaaraa koii na jaane apanii garaj ke sab hai.n diivaane kisake aage ronaa roe.n des paraayaa log begaane dukhii man... laakh yahaa.N jholii phailaa le kuchh nahii.n de.nge is jag vaale patthar ke dil mom na ho.nge chaahe jitanaa niir bahaale dukhii man... apane liye kab hai.n ye mele ham hai.n har ik mele me.n akele kyaa paaegaa usame.n rahakar jo duniyaa jiivan se khele dukhii man... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.