% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K. G (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Venkatasubramanian K G (gopala@cs.wisc.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % khilate hai.n gul yahaa.N, khilake bikharane ko milate hai.n dil yahaa.N, milake bichha.Dane ko khilate hai.n gul yahaa.N ... (kal rahe naa rahe, mausam ye pyaar kaa kal ruke na ruke, Dolaa bahaar kaa ) - (2) chaar pal mile jo aaj, pyaar me.n guzaar de khilate hai.n gul yahaa.N ... jhiilo.n ke ho.nTho.n par, megho.n kaa raag hai phuulo.n ke siine me.n, Tha.nDii Tha.nDii aag hai dil ke aaine me.n tuu, ye samaa utaar de khilate hai.n gul yahaa.N ... pyaasaa hai dil sanam, pyaasii ye raat hai ho.nTho.n me dabii dabii, koii miiThii baat hai in lamho.n pe aaj tuu, har khushii nisaar de khilate hai.n gul yahaa.N ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.