% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian KG (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Venkatasubramanian KG (gopala@cs.wisc.edu) % Rajan Parrikar (parrikar@mimicad.Colorado.EDU) % Surender Mohan (suren@ee.WPI.EDU) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % merii bhiigii-bhiigii sii, palako.n pe rah gae jaise mere sapane bikhar ke jale man teraa bhii, kisii ke milan ko anaamikaa, tuu bhii tarase merii bhiigii ... tujhe bin jaane, bin pahachaane mai.nne hR^iday se lagaayaa par mere pyaar ke badale me.n tuune mujhako ye din dikhalaayaa jaise birahaa kii R^itu mai.nne kaaTii ta.Dapake aa.Nhe.n bhar-bhar ke jale man teraa ... aag se naataa, naarii se rishtaa kaahe man samajh na paayaa mujhe kyaa huaa thaa, ik bevafaa se haay mujhe kyo.n pyaar aayaa terii bevafaa_ii pe, ha.Nse jag saaraa galii-galii guzare jidhar se jale man teraa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.