% % Contributor: % Transliterator: Venkatasubramanian K G (gopala@cs.wisc.edu) % Credits: rec.music.indian.misc % Preetham Gopalaswamy (preetham@src.umd.edu) % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % mere mahabuub tujhe merii muhabbat kii qasam phir mujhe naragisii aa.Nkho.n kaa sahaaraa de de meraa khoyaa huaa ra.ngiin nazaaraa de de, mere mahabuub tujhe ... bhuul sakatii nahii.n aa.Nkhe.n vo suhaanaa ma.nzar jab teraa husn mere ishq se Takaraayaa thaa aur phir raah me.n bikhare the hazaaro.N naGame.n mai.n vo naGame.n terii aavaaz ko de aayaa thaa saaz-e-dil ko unhii.n giito.n kaa sahaaraa de de meraa khoyaa ... yaad hai mujhako merii umr kii pahalii vo gha.Dii terii aa.Nkho.n se koii jaam piyaa thaa maine mere rag rag me.n koii barq sii laharaaii thii jab tere maramarii haatho.n ko chhuaa thaa maine aa mujhe phir unhii.n haatho.n kaa sahaaraa de de meraa khoyaa ... maine ik baar terii ek jhalak dekhii hai merii hasarat hai ke mai.n phir teraa diidaar karuu.N tere saae ko samajh kar mai.n ha.nsii.n taajamahal chaa.Ndanii raat me.n nazaro.n se tujhe pyaar karuu.N apanii mahakii huii zulfo.n kaa sahaaraa de de meraa khoyaa ... Dhuu.NDhataa huu.N tujhe har raah me.n har mahafil me.n thak gaye hai.n merii majabuur tamannaa ke kadam aaj kaa din merii ummiid kaa hai aakhirii din kal na jaane mai.n kahaa.N aur kahaa.N tuu ho sanam do gha.Dii apanii nigaaho.n kaa sahaaraa de de meraa khoyaa ... saamane aa ke zaraa pardaa uThaa de ruK se ik yahii meraa ilaaj-e-Gam-e-tanhaa_ii hai terii furaqat ne pareshaan kiyaa hai mujhako ab mil jaa ke merii jaan bhii ban aaii hai dil ko bhuulii huii yaado.n kaa sahaaraa de de meraa khoyaa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.