pag ghu.Ngaruu baa.Ndh miiraa naachii thii


Song Title: pag ghu.Ngaruu baa.Ndh miiraa naachii thii
Movie Name: Namak Halaal
Actor(s)/Actress(es): Amitabh Bachchan, Smita Patil
Singer(s): Kishore Kumar, chorus
Music Director(s): Bappi Lahiri
Lyricist(s):
Category(ies):


Go to Slow-DEVNAGRI Go to Fast-DEVNAGRI (Xdvng) Go back to Index
%
% Contributor:  
% Transliterator: Venkatasubramanian K G (gopala@cs.wisc.edu)
% Credits: rec.music.indian.misc 
% Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu)
%
%
buzurgo.n ne,
buzurgo.n ne, faramaayaa ke pairo.n pe apane kha.De hoke dikhalaao
phir ye zamaanaa tumhaaraa hai,
zamaane ke sur taal ke saath, ba.Dhate chale jaao
phir har taraanaa tumhaaraa, fasaanaa tumhaaraa hai

are to lo bhaiyaa ham, apane pairo.n ke uupar,
kha.De ho gae,
aur milaalii hai taal
dabaa legaa daa.Nto.n tale u.Ngaliyaa.N ... liyaa.N ...
ye jahaa.N dekh kar, dekh kar
apanii chaal... vaah vaah!

dhanyavaad!
ke pag ghu.Ngharuu ...
ke pag ghu.Ngharuu baa.Ndh, miiraa naachii thii
aur ham naache bin ghu.Ngaruu ke
ke pag ghu.Ngaruu baa.Ndh, miiraa naachii thii
vo tiir bhalaa, kis kaam kaa hai
jo tiir nishaane se chuuke chuuke chuuke re
ke pag ghu.Ngharuu ...

sa sa sa ga ga rii rii sa nii nii sa sa sa (3)
ga ga ga   pa pa   ma ma   ga rii rii   ga ga ga (2)
pa nii sa (4). ma pa nii (4)
re re re re   re ga   re ga   re ga 
## (Kishore Kumar stops) ##
pa pa pa pa pa ma ga re sa nii sa dha
sa nii sa dha sa nii sa dha 
sa nii sa dha sa nii sa dha
sa dha nii sa sa dha nii sa
sa dha nii sa sa dha nii sa 
pa ma pa ma ga ma ga re 
ga re sa nii sa nii sa ga
sa re sa ga re ga re ma
re ma ga ma ga ma pa ma
pa ma ga re sa nii sa pa sa
pa ma ga re sa nii sa pa sa
## (Kishore Kumar continues) ##
## Mmmmmmm... ##

aap a.ndar se kuchh,
aur baahar se kuchh aur nazar aate hai.n,
barakhurdaar shakl se to, chor nazar aate hai.n,
umr guzarii hai saarii chorii me.n
saare sukh chain band, jurm kii tijaurii me.n

aap kaa to lagataa hai bas yahii sapanaa
raam naam japanaa paraayaa maal apanaa (2)

vatan kaa khaayaa namak to, namak halaal bano,
farz iimaan kii zi.ndaa yahaa.N misaal bano
paraayaa dhan, paraaii naar pe nazar mat Daalo
burii aadat hai ye, aadat abhii badal Daalo

kyo.n ki!! ye aadat to, vo aag hai jo
ik din apanaa ghar phuu.Nke phuu.Nke phuu.Nke re
ke pag ghu.Ngharuu ...

## (Some English lines here.........) ##
mausam-e-ishq me.n machale hue armaan hai.n ham
dil ko lagataa hai kii do jism ek jaan hai.n ham
aisaa lagataa hai to lagane me.n kuchh buraaii nahii.n
dil ye kahataa hai aap apanii hai.n, paraaii nahii.n

sa.ngemaramar kii haay, koii muurat ho tum
koii dilakash ba.Dii, khuubasuurat ho tum
dil dil se milane kaa koii muhuurat ho
pyaase dilo.n kii zaruurat ho tum

dil chiirake, dikhalaa duu.N mai.n,
dil me.n yahii, suurat ha.nsii.n
kyaa aap ko lagataa nahii.n, ham hai.n mile pahale kahii.n

kyaa des hai, kyaa jaat hai,
kyaa umr hai, kyaa naam hai,
are chho.Diye in baato.n se,
hamako bhalaa kyaa kaam hai

ajii suniye to... ham aap mile
to phir ho shuruu
afasaane lailaa, majanuu lailaa majanuu ke

ke pag ghu.Ngharuu ...
%


This site is maintained by Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by Anurag Shankar and a team of volunteers. Please send new songs, corrections etc to .