% % Contributor: % Transliterator: Avinash Chopde (avinash@acm.org) % Credits: rec.music.indian.misc (USENET newsgroup) % PVR Narasimha Rao (pvr@rice.edu) % C.S. Sudarshana Bhat (ceindian@utacnvx.uta.edu) % Satish Subramanium % Editor: Anurag Shankar (anurag@astro.indiana.edu) % % mai.n sitaaro.n kaa taraanaa, mai.n bahaaro.n kaa fasaanaa leke ik a.nga.DaaI mujh pe, Daal nazar ban jaa diivaanaa ruup kaa tum ho khazaanaa, tum ho merii jaa.N ye maanaa lekin pahale de do meraa, paa.nch rupaiyaa baaraa aanaa paa.nch rupaiyaa, baaraa aanaa-aaaa ... maaregaa bhaiyaa, naa naa naa naa-aaaa ... maal zar, bhuulakar, dil jigar hamase nishaanii maa.ngo naa dilarubaa, kyaa kahaa, dil jigar kyaa hai javaanii maa.ngo naa tere liye majanuu ban sakataa huu.N lailaa lailaa kar sakataa huu.N chaahe namuunaa dekh lo -- haay khuun-e-dil piine ko aur laqt-e-jigar khaane ko ye gizaa milatii hai lailaa - (2) tere diivaane ko - (2) o ho ho josh-e-ulfat kaa zamaanaa, laage hai kaisaa suhaanaa leke ik a.nga.DaaI mujh pe, Daal nazar ban jaa diivaanaa maanataa huu.N hai suhaanaa, josh-e-ulfat kaa zamaanaa lekin pahale de do meraa, paa.nch rupaiyaa baaraa aanaa Gam bhulaa, saaj uThaa, raag mere ruup ke tuu gaaye jaa ai dilarubaa, hoy dilarubaa, haa.N isii a.ndaaz se faramaaye jaa giit sunaa sakataa huu.N daadaraa ginakar puure baaraa maataraa chaahe namuunaa dekh lo -- haay dhiire se jaanaa bagiyan me.n, dhiire se jaanaa bagiyan me.n re bha.Nvaraa, dhiire se jaanaa bagiyan me.n hoy lallaa Dhii.ng lallaa - (2) o ho ho tuu kalaa kaa hai diivaanaa kam hai kyaa tujhako bahaanaa leke ik a.nga.DaaI mujh pe, Daal nazar ban jaa diivaanaa haa.N ye achchhaa hai bahaanaa mai.n kalaa kaa huu.N diivaanaa lekin pahale de do meraa, paa.nch rupaiyyaa baaraa aanaa bekhabar, pyaar kar, dhan kii duniyaa kyaa hai Dhalatii chhaayaa hai haay haay haay dilarubaa, sach kahaa saa.nch teraa pyaar baakii maayaa hai tere liye jogii ban sakataa huu.N ja.ngal ja.ngal phir sakataa huu.N chaahe namuunaa dekh lo -- haay bamamukach e bin bamamukach e bin bamamukach e bin bamamukach (terii gaTharii me.n laagaa chor musaafir jaag zaraa tuu jaag zaraa ) - (2) o ho ho mai.n huu.N terii jaan-e-jaanaa aa mujhii se lav lagaanaa leke ik a.nga.DaaI mujh pe, Daal nazar ban jaa diivaanaa jai guruu maine ye maanaa tuu hai meri jaan-e-jaanaa lekin pahale de do meraa - yak dui tiin chaar paa.nch paa.nch rupaiyaa baaraa aanaa ... %
This site is maintained by
Navin Kabra. Please send comments and suggestions to
The ITRANS Song Book is maintained by
Anurag Shankar
and a
team
of volunteers.
Please send new songs, corrections etc to
.